Saloni jaipur me rehti hai' uska beta arjun 5 saal ka hai, saloni bahut khush hai 'ki aaj uske bete ka janamdin hai , saloni bahut khushi se apne bete ko taiyar karti hai , uske janamdin par , saloni apne bete ko taiyar kar ke usko ,uper apne bedroom me bed par 'baitha deti hai , tabhi uski nokarani aaker uske ghar ki ghanti bajati hai ,saloni darwaja kholne niche aati hai aur darwaja khol kar apni naukrani se bat karne lagti hai aur tabhi usko dhadaam se kuch girne ki awaj ati hai wo turan awaj sunker bhagti hai aur uski naukrani bhi uske pichchhe bhagti hai saloni jaise hi sidiyo ke pas pahuchti hai usko khoon hi khoon bikhra dikhta hai fars par aur jaise hi do sidiya chdati hai aur apne bete ko khoon se lat pat dekhti hai uske hosh uad jate hai uski naukrani bhi bache ki aisi halat dekh kar dar jati hai , saloni rote rote apne bache ko uthati hai aur turant hospital lekr bhagti hai par afsos ki doctor bolte hai apka bachcha mar gya hai ,saloni aur saloni ka pati bahut rote hai, kuch mahine beet jate hai afsos me saloni ka pati saloni ko khush karne ke liye usko ghoomne firane le jata hai saloni ka tab bhi kahi man nahi lata saloni apne pati ke sath ghar wapas ajati hai aur khud ko kam kaaj me bizzy rakhne ki kosis karti hai ki uske bete ki yaad kam aye , lekin ek din aisa hota hai ki saloni apne kichen me khana bana rahi hoti hai tabhi usko lgata hai ki uper uske bedroom me t.v dekh raha hai ,to saloni bhagte hi uper bedroom me jati hai tabhi waha dekhti hai t.v on hai to wo thoda hairan hoti hai fir sochti hai sayad me hi band karna bhool gayi hu, air wo apne kichen me chali jati hai ,fir doosre din usko mehsoos hota hai ki sidiyo par baitha koi khel raha hai ,wo ye bat apni naukrani se batati hai , par uski naukrani bolti hai ap apne bete ke bare me sochti rehti hai isi liye apko aisa lag raha hai apko aram ki jroort hai ,saloni do mint chup renti hai, fir bolti hai ha tum theek bol rahi ho me kuch jada hi soch rahi hu ,aur ye bol kar uper apne bedroom me jake bed par let jati hai ki tabhi usko awaj ati hai jaise koi sidiyo par baith kar ro raha hai ,wo ati hai aur dekhti hai sidiyo par to koi nahi hai, aur sidiyo par baith jati hai apne bete ko yaad karne lagti hai , tabhi uski naukrani ati hai aur bolti hai me ja rahi hu ap darwaja bnad karlo medam aur aisa bolkar naukrani chali jati hai, saloni 5 mint to baithi hi rehti hai fir sidiyo se jaisi hi uterne ki kosis karti hai uska pair kheech jata hai aur saloni bhi gir padti tabhi usko jor jor se rone ki awaje ane lagti hai aur saloni dar jati saloni bolti hai kon, kon hai yaha batao ,batao batao karke saloni rone lagti hai tabhi uski awaj ati hai mere sath khelo mummy, saloni aur dar jati hai ghabrane lagti hai aur apne ghar se bahar bhag jati hai fir raat me apne pati ke sath ghar me ati hai aur ro ro kr puri bat btati hai, uska pati hairan hota hai aur apni biwi ka khyal rakhne ke liye apni bahen ko apne ghar bula leta hai uski bahen ati hai aur samjhati hai saloni ko aur kuch din wahi rukne ka faisla karti hai ,aur kuch din ruk jati hai ,aur saloni ko khush rakhne ki kosis karti hai ,usko ruke bas do din hi hote hai aur 3 din wo chhat se kood jati hai aur uski maut ho jati hai saloni ka dar aur bad jata hai par uske pati ko lagta hai ki ye koi hadasa hai, saloni din ba din pareshan rehne lagi , naukrani ko bhi thoda thoda saloni ki bat par yakeen hone laga tha aur naukrani kam se chhutiya jada lene lagi aur saloni pareshan thi apne pati ko yakeen kaise dilau ki ghar me kuch na kuch hai, do char din bad saloni ko ghar me aur kisi bache ki rone ,chilane khelne ki awaje ane lagi aur ek din to aisa hua saloni ko apna beta bedroom me bed par leta dikha saloni dar ke bimar hogyi aur apne mayeke chali gayi saloni apne ghar me thoda khush hui aur ek do hafato me saloni thik hogyi saloni thik hui hi thi ki ek din sham ko uske padosi ka phone aya saloni bat karti hai to apne pati ka gais salender se marne ki khaber sunker chauk jati hai aur behosh ho jati hai aur hosh ane par apne pati ke ghar jati hai saloni apne ghar ko hmesa ke liye band karke apne mayeke jane ke liye niklti hai aur saloni ki car ka accident ho jata hai, saloni to mar gayi par uske ghar ke pas rehne wale padosi bolte hai ,aaj bhi saloni ke band ghar se kisi bachche ki rone, khelne aur chilaane ki awaje ati hai.
Did you enjoy reading this story? Even you can write such stories, build followers and earn. Click on WRITE below to start.